About Product
Vyapak roop mein aisa abhaas kiya jata hai ki abhi tak antarashtriya sambandh tatha rajneeti ke sabhi sarthak pakshon ka saidhantik paripekshya mein krambadh wa vistrit adhyan nahi hua hain, ya abhi tak saidhantik rachnaon wa awdharnatmak sanrachnaon ki sthapna nahi hui hai, ya, sabse badhkar, aisi ashanka ki jaati hai ki nikat bhavishya mein aise prayashon ka apna swatantra roop prakat nahi hone wala hai. Lekin vidhwan apne prayason mein sanglagna hain taki yah sarvmanya spashtikaran diya jaa sake ki, hores v. Harrison ke shabdon mein, unki aise muhon ke prati aabadhta hi ki saidhantikaran kyon aur kaise kiya jaye. Abhi tak jo kuchh safalta mili hai usse humare mastishk par yah chhap padti hai ki iss baare mein hone wale atyant mahatwapurn wa sahayak vikason mein ek vikas yahi hai ki antarashtriya vyavhaar ko samajhne hetu saidhantik anveshan ke madhyam se apne sachet wa suchintit prayason ko gahan banaya jaaye. (harrison) uttarsheet yudh kaal mein bhumandalikaran wa udarikaran ki laharon ke prahav ko dekhte huye yah aur adhik zaroori ho gaya hai. Naveentam vikason ne iss baare mein vidhwanon ko prerit kiya hai ki we antarashtriya sambandh tatha rajneeti ke adhyan ko behtar wa samayanukul banane hetu awdharnaon ko punarparibhashit karein, paramparagat manyataon ka mulyankan karein tatha nai rannitiyon wa pratimanon ka avishkaar karein. Ab iss vishay ke paas 'naya karykram' hai jo neeti sambandhi muddon ka vishal kshetra tatha anek naye vishayon (jaise suraksha, swantantrata, samanta, nyay, kalyan aadi) ko samahit karta hai jinka nai antarashtriya rajneetik wa aarthik vyavastha mein prachalan hona chahiye. J. C. Johari rajneeti vigyan ke sikshan sambandhi karya se pichhle 40 vashon se adhik samay se jude rahe hain. Kuchh samay tak aapne agra wa delhi vishwavidyalayon se sambadh uttarsnatak mahavidhyalayon mein rajneeti vigyan ke vyakhyata ke roop mein karya kiya.
Tags:
Hindi;
International Relations and Politics;
Politics;