About Product
Hindi pathyapustak shrinkhla bhag 2 se 8 tak ki kuch visheshtaein • Rashtriya pathycharya ki rooprekha 2005 (NCF) evam satat evam vyapk mulyankan (CCE) ki sifaarishon par aadharit akarshak pathyapushtak shrinkhala • Bachhon ki aayu aur mansik vikas ke anuroop saral, sehaj evam rochak pathan samagri ka samavesh • Sundar evam bhavpurn chitra, upyogi shikshan sanket evam vidyarthiyon ke liye nirdesh • Jivan jine ki kala, paryavaran sangrakshan, utkristh chaaritrik guno evam naitik mulyon ko badhane par bal • KWL chart ke madhyam se vidyarthiyon ke purv gyan/kaushal, paath ki vishyavastu se jude adhigam uddeshyon evam arjit gyan va kaushlaon ko aankne kaa avsar • Gyan nirman ke vibhinn staron jaise- gyan, samajh, anuprayog, vishleshan, mulyankan srijanatmakta ke akalan hetu vishesh roop se taiyaar ki gayi abhyaas samigri (Bloom taxonomy) • Bhashagat kaushalon (sunna, bolna, padhna, likhna) ke vikas ko dhyaan mein rakhkar pathyacharya ka nirman • Sahityik kaushlon ke saath-saath bhashagat kaushalon ke uchyatam staron jaise- aalochnatmakta, avlokan, tarkitta evam srijanatmakta ko vikas dene ke liye gatividhiyon evam prashno ka samavesh • Sabhi prakar ki adhigam shailiyon evam bahupratibhaon ko viksit evam pallavit karne wali rochak rachnatmak gatividhiyan (VAK and Multiple Intelligences) • Sampurna mastishk ke vikas ko dhyan mein rakh kar taiyar ki gayi rachnatmak evam srijanatmak gatividhiyan (Whole Brain Theory).
Tags:
Class - 4;
Hindi;
CBSE;
Text Book;